Random posts

Recent Posts

3/recentposts

Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain,Urdu Ghazal by Ahmad Faraz


Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain 
So us k shehar main kuch din thehar k dekhte hain

 Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbaad kar k dekhte hain

 Suna hai dard ki gahak hai chasm-e-nazuk us ki 
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhte hain

 Suna hai us ko bhi hai sher-e-shayari se shagaaf 
So hum bhi moujze apne hunar k dekhte hain

 Suna hai bole to batoon se phool jharte hain 
Ye Baat hai to chalo baat kar k dekhte hain 

 Suna hai raat usse chand takta rehta hai
Sitare baam-e-falak se utar k dekhte hain 

 Suna hai hasher hain us ki ghazal si aankhen
 Suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhte hain 

 Suna hai din ko usse titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugnu thahar k dekhte hain 

 Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai 
So us ko surma faroosh ankh bhar k dekhte hain

 Suna hai us k labon se gulaab jalte hain
 So hum bahaar pe ilzaam dhar k dekhte hain 

 Suna hai aaiyna tamsaal hai jabeen us ki
 Jo saada dil hain usse ban sanwar k dekhte hain

 Suna hai jab se hamail hain us ki garden main 
Mizaaj aur hi laal-o-gauhar k dekhte hain

 Suna hai chashm-e-tasswur se dasht-e-imkaan main
 Palang zaaviya us ki kamar k dekhte hain

 Suna hai us k badan k taraash aise hain
 K phool apni qabayen katar k dekhte hain 

 Bus ik nazar se lut’ta hai qafila dil ka 
So rahrawan-e-tammana bhi dhar k dekhte hain

 Suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisht 
Makeen udher k bhi jalwe idher k dekhte hain

 Ruke to gardishen us ka tawaaf karti hain 
Chale to us ko zamane thehar k dekhte hain 

Kise naseeb k be perahan usse dekhe 
Kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar k dekhte hain 

 Kahaniyan hi sahi sab mughalbe hi sahi 
Agar wo khuab hai to tabeer kar k dekhte hain 

 Ab us k shehar main thehren k kooch kar jayen
 “FARAZ” aao sitare safar ke dekhte hain
Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain,Urdu Ghazal by Ahmad Faraz Suna hai loog usse ankh bhar k dekhte hain,Urdu Ghazal by Ahmad Faraz Reviewed by Anonymous on December 14, 2013 Rating: 5
Powered by Blogger.