Random posts

Recent Posts

3/recentposts

Hawa K Zour Se Ghazal by Ahmed Faraz

Ahmad Faraz

Ghazal

Hawa k zour se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
 Chiragh ko jo bachate the, un ka ghar bhi gaya 

 Pukarte rahe mehfooz kishtiyun waale
 Main Doobta hua darya k paar utar bhi gaya 

 Ab ehtiyaat ki diwaar kya uthate ho 
Jo chor dil main chupa tha wo kaam kar bhi gaya

 Main chup raha k is main thi aafiyat jaan ki 
Koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya

 Sulaghte sochte weraan mausamon ki tarah
 Kara tha ehad-e-jawani magar guzar bhi gaya 

 Jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta 
Jo naam dil main raha zehan se utar bhi gaya 

 Phati phati huye ankhon se yun na dekh mujhe 
Tujhe talash hai jis ki wo shakhs mar bhi gaya 

 Magar falak ki adawat ussi k ghar se na thi 
Jahan "Faraz" na tha sayel-e-Gham udhar bhi gaya
Hawa K Zour Se Ghazal by Ahmed Faraz Hawa K Zour Se Ghazal by Ahmed Faraz Reviewed by Anonymous on December 14, 2013 Rating: 5
Powered by Blogger.