Jaan Soz Ki Mehrumi-e-Taaseer Na Dekh
Ho Hi Jaye Gi Jeene Ki Koi Tadbeer Na Dekh
Haadsay Aur Bhi Guzre Hain Teri Ulfat K Siwa
Haan Mujhe Dekh, Ab Meri Tasveer Na Dekh
Dekh Zindaan Se Paray Rang-e-Chaman Josh-e-Bahaar
Raqs Karna Hai To Phir Paaon Ki Zanjeer Na Dekh
Ye Zara Door Pe Manzil Ye Ujaala Ye Sukoon
Khuwab Ko Dekh Abhi Khuwab Ki Ta'beer Na Dekh
Kuch Bhi Ho Phir Bhi Dukhi Dil Ki Sada Hon Nadaan
Meri Baaton Ko Samajh Talkhi-e-Taqdeer Na Dekh

Reviewed by Unknown
on
October 12, 2014
Rating: