Random posts

Recent Posts

3/recentposts

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain ,Urdu Ghazal Poetry,Urdu Love Ghazal Poetry,Urdu New Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry Images,Picture Poetry,



"Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
To kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?"

"Na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
Ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain"

"Tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
Udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain"

"Bisaat_e_assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
Saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain"

"BayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
Hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain"

"Abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
Abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain"

"Abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
Abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain"

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain ,Urdu Ghazal Poetry,Urdu Love Ghazal Poetry,Urdu New Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry Images,Picture Poetry, Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain ,Urdu Ghazal Poetry,Urdu Love Ghazal Poetry,Urdu New Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry,Love Urdu Ghazal Poetry Images,Picture Poetry, Reviewed by Unknown on May 08, 2014 Rating: 5
Powered by Blogger.