Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki,
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki,
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi,
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki,
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha,
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki,
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna,
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki,
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin,
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki.

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa….
Reviewed by Anonymous
on
December 12, 2013
Rating: