Apne aap se phirtey hain beganey kyon,
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon,
Hum ne kab maani thi baat zamaney ki,
Aaj hamari baat zamana maaney kyon,
Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai,
Us ko achey lagte hain veeraney kyon,
Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraaney kyon,
Halwat* mein jo aankh milatey darta ho,
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon,
Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon,
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon.

Apne aap se phirtey hain beganey….
Reviewed by Anonymous
on
December 12, 2013
Rating: